Bedardi Se Pyaar Ka Lyrics – Jubin Nautiyal

Bedardi Se Pyaar Ka Lyrics:- Presenting the Lyrics of the Hindi song ‘Bedardi Se Pyaar Ka‘ sung by Jubin Nautiyal. The Lyrics of the song are penned by Manoj Muntashir while Meet Bros has given the music of the song. The song is released under the label T-Series.

Bedardi Se Pyaar Ka Lyrics

Yeh Soch Ke Dil Mera
Zoron Se Dhadakta Hai
Kisi Aur Chhat Pe Kyun
Mera Chand Chamakta Hai

Yeh Soch Ke Dil Mera
Zoron Se Dhadakta Hai
Kisi Aur Chhat Pe Kyun
Mera Chand Chamakta Hai

Hum Doob Gaye Jana
Aankhon Ke Pani Mein
Jane Woh Kaise Log The
Jinko Kinara Mila
Bedardi Se Pyar Ka

Bedardi Se Pyaar Ka Sahara Na Mila
Sahara Na Mila
Aisa Bichda Woh Mujhko Na Dobara Mila

Bedardi Se Pyar Ka Sahara Na Mila
Aisa Bichda Woh Mujhko Na Dobara Mila
Bedardi Se Pyaar Ka

Humein Pyar Ab Dobara
Hona Bahut Hai Mushkil
Chhoda Kahan Hai Tumne
Humko Kisi Ke Kaabil

Humein Pyar Ab Dobara
Hona Bahut Hai Mushkil
Chhoda Kahan Hai Tumne
Humko Kisi Ke Kaabil

Humne Chirag Leke
Chhane Hai Raste Saare
Paya Nahi Kisi Ko
Dil Mein Siwa Tumhare

Kehte Hai Dhundho Toh
Rab Bhi Mil Jata Hai
Haaye Naseeba Ishq Na Humko
Humara Mila
Bedardi Se Pyar Ka

Bedardi Se Pyaar Ka Sahara Na Mila
Sahara Na Mila
Aisa Bichda Woh Mujhko Na Dobara Mila

Har Waqt Andhera Hai Dil Mein
Chahe Dhoop Rahe Ya Raat Rahe
Kuch Bhi Toh Nahi Badla Hum Mein
Barbaad The Hum Barbaad Rahe

Hum Jiske Liye Duniya Bhoole
Usko Bhi Kahan Hum Yaad Rahe

Humein Apne Muqadar Se
Bas Ek Shikayat Hai
Kya Baat Hui Kyun Sath Na Humko
Tumhara Mila
Bedardi Se Pyar Ka

Bedardi Se Pyaar Ka Sahara Na Mila
Sahara Na Mila
Aisa Bichda Woh Mujhko Na Dobara Mila

Bedardi Se Pyar Ka Sahara Na Mila
Aisa Bichda Woh Mujhko Na Dobara Mila
Dobara Mila

Written by: Manoj Muntashir

Song Details

Song: Bedardi Se Pyaar Ka
Singer: Jubin Nautiyal
Lyrics: Manoj Muntashir
Music: Meet Bros
Language: Hindi
Label: T-Series

Music Video

Share on:
Previous

Jaha Tu Hai Waha Mai Hu Lyrics – Kunal Bojewar

Chachi Ke Bachi Sapanwa Me Aati Hai Lyrics – Khesari Lal Yadav

Next