Har Dil Jo Pyaar Karega Lyrics – Sangam

Har Dil Jo Pyaar Karega Lyrics from Sangam is sung by Lata Mangeshkar, Mukesh and Mahendra Kapoor. The Lyrics of the song are written by Shailendra Singh while its music is given by Shankar and Jaikishan.

Har Dil Jo Pyaar Karega Lyrics

Har dil jo pyaar karega woh gana gayega
Har dil jo pyaar karega woh gana gayega
Deewana saikadon mein pehchana jayega
Deewana saikadon mein pehchana jayega
Deewana

Aap hamare dil ko chura ke
Aankh churaye jaate hain
Yeh ik tarfa rasam-e-wafa hum
Phir bhi nibhaye jaate hain
Chahat ka dastoor hai lekin
Aap ko hi malum nahi

Jis mehfil mein shama ho parwana jayega
Deewana saikadon mein pehchana jayega
Deewana

Har dil jo pyaar karega woh gana gayega
Deewana saikadon mein pehchana jayega

Deewana

Bhooli bisri yaadein meri
Hanste gaate bachpan ki
Raat biraat chali aati hain
Neend churane nainan ki
Ab keh doongi karte karte
Kitne savan beet gaye

Jaane kab in aankhon ka sharmana jayega
Deewana saikadon mein pehchana jayega
Deewana

Har dil jo pyaar karega woh gana gayega
Deewana saikadon mein pehchana jayega
Deewana

Apni apni sabne keh li
Lekin hum chup chaap rahe
Dard paraya jisko pyaara
Woh kya apni baat kahe
Khamoshi ka yeh afsana
Reh jayega baad mere

Apna ke har kisi ko begana jayega
Deewana saikadon mein pehchana jayega
Deewana
Deewana
Deewana
Deewana

Song Details

Song : Har Dil Jo Pyar Karega
Album : Sangam (1964)
Singer : Lata Mangeshkar, Mukesh, Mahendra Kapoor
Musician : Shankar, Jaikishan
Lyricist : Shailendra Singh

Music Video

Share on:
Previous

DOST DOST NA RAHA LYRICS – Sangam

MAIN KYA KAROON RAM MUJHE BUDDHA MIL GAYA LYRICS – Sangam

Next