MAIN KYA KAROON RAM MUJHE BUDDHA MIL GAYA LYRICS – Sangam

Main Kya Karoon Ram Mujhe Buddha Mil Gaya Lyrics from Sangam is sung by Lata Mangeshkar. The Lyrics of the song are written by Hasrat Jaipuri while its music is given by Shankar and Jaikishan.

Main Kya Karoon Ram Mujhe Buddha Mil Gaya Lyrics

Main kya karoon ram mujhe buddha mil gaya
Main kya karoon Ram mujhe buddha mil gaya
Hoye hoye buddha mil gaya
Ho buddha mil gaya
Haaye main kya karoon Ram mujhe buddha mil gaya
Main kya karoon Ram mujhe buddha mil gaya

Sab jo gaye baag mera buddha bhi chala gaya
Sab jo gaye baag mera buddha bhi chala gaya

Sab to laaye phool buddha gobhi le ke aa gaya
Sab to laaye phool buddha gobhi le ke aa gaya
Main ho gayi badnaam mujhe buddha mil gaya
Haaye kya karoon Ram mujhe buddha mil gaya
Hoye hoye buddha mil gaya
Ho buddha mil gaya
Haaye main kya karoon Ram mujhe buddha mil gaya

Main gudiya hasin meri morni si chaal hai

Main gudiya hasin meri morni si chaal hai
Sar mein safed
Sar mein safed uske dada jee ka baal hai
Sar mein safed uske dada jee ka baal hai
Kya hoga anjam mujhe buddha mil gaya
Haaye kya karoon Ram mujhe buddha mil gaya
Hoye hoye buddha mil gaya
Ho buddha mil gaya
Main kya karoon Ram mujhe buddha mil gaya

Pariyon ke des mujhe buddha le ke aa gaya
Pariyon ke des mujhe buddha le ke aa gaya
Maine jo uthaya ghoonghat buddha gussa kha gaya
Maine jo uthaya ghoonghat buddha gussa kha gaya
Bigde saare kaam mujhe buddha mil gaya
Haaye kya karoon Ram mujhe buddha mil gaya
Hoye hoye buddha mil gaya
Haaye buddha mil gaya
Haaye main kya karoon Ram mujhe buddha mil gaya
Main kya karoon Ram mujhe buddha mil gaya

Song Details

Song : Main Kya Karoon Ram Mujhe Buddha Mil Gaya
Album : Sangam (1964)
Singer : Lata Mangeshkar
Musician : Shankar, Jaikishan
Lyricist : Hasrat Jaipuri

Music Video

Share on:
Previous

Har Dil Jo Pyaar Karega Lyrics – Sangam

Mere Man Ki Ganga Aur Tere Man Ki Jamuna Lyrics – Sangam

Next