Ro Liye Tum Bin Poetry – Dr Kumar Vishvas

Ro Liye Tum Bin Lyrics:- Presenting the Lyrics of the Hindi Poetry ” Ro Liye Tum Bin” narrated in the voice of Dr. Kumar Vishvas.

Ro Liye Tum Bin Lyrics 

Ke Kahin par jag liye tum bin
Kahin par so liye tum bin

Ki Main apne geet ghazalon se use paigaam karta hoon,
Usi ki di hui daulat, usi ke naam karta hoon
Hawa ka kaam hai chalna, diye ka kaam hai jalna
Wo apana kaam karti hai, main apana kaam karta hoon

Ke Kisi ke dil ki maayoosi jahaan se ho ke gujari hai
Humaari saari chalaaki wahi par kho ke gujari hai
Tumhaari aur meri raat mein bas fark itna hai
Tumhaari so ke gujari hai, Hamaari ro ke gujari hai

Ki Nazar aksar shikaayat aajkal karti hai darpan se ,
Thakan bhi chutkiyaan lene lagi hai tan se aur man se ,
Kahaan tak hum sambhaale umr ka har roz girta ghar ,
Tum apni yaad ka malba hataao dil ke aangan se

Ke Kahin par jag liye tum bin, kahin par so liye tum bin

Bhari mehfil mein bhi aksar, akele ho liye tum bin
Ye pichhle chand varshon ki kamayi saath hai mere
Kabhi to hans liye tum bin, kabhi phir ro liye tum bin

Ke Jahan har din siskana hai jahan har raat gaana hai
Humaari zindagi bhi ik tavaayaf ka gharaana hai
Bahut majboor hokar geet roti ke likhe maine
Tumhaari yaad ka kya hai usey to roz aana hai

Ke Koi deewaana kehta hai, koi paagal samajhta hai
Magar dharti ki bechaini ko bas baadal samajhta hai
Main tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai
Ye tera dil samajhta hai, yaa mera dil samajhta hai

Written By:
Dr. Kumar Vishvas

Music Video

Share on:
Previous

Tum Mil Gaye Ho Lyrics – Ananya Sankhe

Ho Sakta Hai Angry Prash Lyrics

Next