Loha Jitna Tapta Hai Poem Lyrics – Shubham Shyam

About the song: Loha Jitna Tapta Hai Poem Lyrics is written and recited by Shubham Shyam. Hope you would enjoy the lyrics of the song.

Loha Jitna Tapta Hai Poem Lyrics

Parme parvaaj ki shakti hai, man mai aagaz ki shakti hai
vo choch mai tinka daale, daali par do aankhe takti hai
Vo parakh rahi hai, toofan ke baaju mai kitni taakat hai
vo dekh rahi hai aasman mai naam maatra ki rahat hai
Par lagi saans jab foolne to toofan ne moka lapak liya
aasman ki umeedo ko la dharti par patak diya
Par jhaad rahi hai dhool paro se, rago mai gajab rawani hai,
chot khane ke baawood, uadne ki lalakh purani hai,
Galat karunga saaabit sabko, yahan koi arihant nahi
gir jana mera ant nahi, gir jana mera ant nahi…

Mukhde par dhool lagi mana, matha foota mana lekin
gaalo par thapad khaaye hai, jabda toota mana lekin,
Mana ke aante akad gayi, pasliyon se laho nikalta hai,
Gis gayan hai kankar mai ghutna, mirch salikhe jalta hai,
mana ke saanse ukhad rahi, aur dhakka lagta dhadkan se,
Lo maan liya ki kaanp gaya hai, purn badam antar man se,
Par aankho se angare, nathno se toofa laaunga,
mai gir gir kar bhi dharti par, har roj khada ho jaaunga,
Mutthi mai beench liya tara, tum nagar mai dhool pitado ji,
andhera ho laakh ghane par andhera anant nahi,
Gir jana mera ant nahi, gir jana mera ant nahi…

Music Video

Share on:
Previous

Syrup is Still Syrup in a Sippy Cup Lyrics

Your Broken Down and Tired Lyrics

Next